Glimpses of a Morons life

Wednesday, February 14, 2007

Sant Valenteen divas

Poora vishva kisi pyar ke sant ka janam din mana raha hai aur main samay vyateet karne ke liye yeh blog likh raha hoon.Sonch raha hoon kya likhoon . Kuchch goodh sawaal mere antarman main kautuhal paida kar mere hriday ki peeda ko nirantar hi anant kar rahe hain...

Kehte hain logon ka bhagya janam se phele hi likh diya jaata hai .Kaun se bhagvaan likhte hain yeh to main nahin jaanta lekin mera bhagya avahsya hi Pavanputra ne likha hai....nahin to jeevan ke kisi mod ke kisi andhkaar porna kone main hi sahi par kisi kanya ka prayojan avashya hota

Are prabhu aap to bhagvaan hain....aap ajar amar hain...aap gyani hain.....aap apni pratigya se atal hain.....par meri bhagya rachna karte samay keval ek baar apna bhramcharya ka vrat kuchch kshanon ke liye toda hota to yeh sevak aaj yeh blog nahin likh raha hota.

Meri manein to ab aap bhi Indra aur Krishna se mitrata badhayein.Mera kya ... main to ek tuchch prani hoon agar aajeevan stri vihin rehna pada to bhi sirf ek jeevan ki baat hai.
Kintu prabhu aap...jinka koi aadi hai na ant...kya yeh vichaar aapke man ko kabhi vyakul nahin karta?

Ab yeh shanka bhi to niradhaar nahin ki aap stri viheen hone ki katuta se uttapan kop ka bhajan humein bana rahe hain.

Hey prabhu,aap kahein to apne saath main aapke liye bhi prarthna karoonga, kintu meri bhagya rachna par punah vichaar karein.


Jaya Hanumana gyana guna sagara
Jaya Kapisa tihun loka ujagara
Rama doota atulita bala dhama
Anjani-putra Pavana suta nama
Mahavira Vikrama Bajrangi
Kumati nivara sumati Ke sangi
Jaya Hanumana gyana guna sagara
Jaya Kapisa tihun loka ujagara

1 Comments:

At 11:58 PM , Blogger Unknown said...

kaafi thoughtful thha....lagta hai ab jaldi hee hanuman ji ki shaadi hogi...:))...but tera pata nahin...:)))..

biju..

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home