Glimpses of a Morons life

Sunday, December 17, 2006

Dil hi to hai na samjhe kyon

ai saqi itna ehsaan karna
hum chale jayein to hamein yaad karna

tujhe paane ki tamnna sau baar sahi
zindagi nahin to zindagi ke baad sahi

ai saqi itna ehsaan karna
hum chale jayein to hamein yaad karna

maut ki zindagi hoti hai do char ghadi
aur fir zindagi bhi mushkilon se bhari

ai saqi itna ehsaan karna
hum chale jayein to hamein yaad karna

meri kabra pe phool nahin,asoon nahin,sajde bhi nahin
meri kabra pe mujhse milne ki guzarish karna

ai saqi itna ehsaan karna
hum chale jayein to hamein yaad karna

meri maiyaat main do asoon bhi na zayaa karna
hum chale jayein to hamein yaad karna